गुरुवार, 3 अक्तूबर 2019

Police Par Hasya Kavita - भारतीय पुलिस पर फनी पोएम

Yah Kavita Bhartiay Police par likhi gayi hai .Yah kavita ik prakar se police ke chaal charitra par Hasya vyang hai .


Police Par Hasya Kavita


Hathon men thaam ke lathi, topi pahan ke sir pe.
Aa gai desh ki police, dekho gaaz gire hai kis pe.

Gaaz giregi us par jo hoga bahut aam.
Sath hi charanon men gir padegi Jiska hoga naam.

Jisaka hota naam police ban Jati Usaki.
Gumnaam ke pas ho paisa to sun le uski bhi siski.

Siski, surksha aur apradh hetu police hoti.
Khud ke swarth pe jagaati, jaroorat pe hai soti.

Soti hui police ko sadharan ram jagaane gaya.
Kumbhkaran ki is bahan se naak katwa ke aa gaya.

Aaya aur chillaya, bachao police se bhagwan.
Galti se main samajh baitha, police ke andar hai insaan.

Police men insaan ki baat sunkar bhagwan jor se hansa.
Is insani raam ki murkhta par jor se do thappad jada.

Do thappad Jadkar, puchkara fir pyaar se.
bola deshbhakt nagarik bano, mat daro atyachar se.

atyachaar se bachane hetu dhan yaa naam kamao.
lage fir ho raha anyaay to nyaay ka daam badhao. 

Badhta daam sunkar police ke andar insaan Jagega.
Yadi police ko bura kaha to usaki hi najar lag jayegi.




About Police Poetry - 

Yah Hasya vyang kavita Bhartiya Police ke charitra par aik tarah ka kataksh hai .Iska uddeshya police ke andar milane wali buraiyon ko janta ke samante laakar unka manoranjan karna hai . Kavita padhane ke liye sabhi ko bahut bahut aabhaar. Read -  Shadi Par Hasya Kavita

Police Mein Sudhar ki bahut gunjaisha hai. Kyonki Police men bahut khamiyan hai. Read - Wedding Anniversary Wishes in Hindi