गुरुवार, 30 जुलाई 2020

Raksha Bandhan Congratulations Message Hindi | Rakhi ki Badhaiyan


Raksha Bandhan Congratulations


Raksha Bandhan Ki Bela Pawan
Kare Khushiyon Ka Shringaar
Dil Naach Uthe Is Jaate Sawan
Khush-haal Bane Pariwar

Baandh Kalai Men Reshmi Dhaga
Sadiyon Se Pyar Bhar Raha
Har Varsha Naye Roop Men Jaaga
Khushiyan Dugani Kar Raha

Bahan Ka Yah Sneh Soot
Sada Aapki Raksha Kare
Pakar Aapke Prem Uphar
Khushiyon Se Usaki Jholi Bhare

Rakhi ke Is Shubh Avasar Par
Phoole Na Samaye Aapaka Man
Bandhwa Ke Raksha Soot Bahan Se
Ho Jivan Aapka Chandan

Khushiyan Mile Taaron Jitani
Rakhi Ke Is Mangal Diwas
Kar Na Pao Aap Ginti
Bolo Bahut Hai Bas

Mangaldayi Ho Raksha Bandhan
Fale Fule Pyaar Apar
Chhaye AApke AAngan Khushiyan
Sukh Smridhi ka Mile Uphaar

Sooni Na Ho Koi Kalai
Raksha Ka Dhaga Har Hath Bandhe
Mane Khushiyon Ki Holi Diwali
Raksha Bandhan Men Aisa Sath Bandhe

Rakhi Ka Tyohar
Laaye Khushiyan Apaar
Chhaye Smridhi Ki Bahar
Ho Prem Varsha Bharmar

Saje Bhai ka Hath
Is Sharavan Mas Ki Poonam
Bikhare Huye Rishton Ka Bhi
Ho Naya Fir Janam

Aanand Ki Chhaye Bahar
Har Ghar Ghar Pariwar
Khushnuma Bane Sara Sansar
Is Raksha Bandhan Ke Tyohar

Rishton Ki Raksha Bandhan
Prem Rang Bikhere Chahunor
Khushahaali Ke Shravan Men
Bikhare Rishte Le Nai Bhor

Enjoy - Raksha Bandhan Kavita

 Rakhi ki Badhaiyan


All these Raksha Bandhan wishes are written by Lokesh Indoura. you can visit its Maskaree . com . Choose your favorite wish and messages your friend and relatives. All the best.


This auspicious Raksha Bandhan Festival gives you a lot of happiness and fill your lap with money. Your brothers and sisters all will enjoy this festival. 


I wish your sister or brother never feel himself or herself alone in life. God always be with them.







शनिवार, 25 जुलाई 2020

Raksha Bandhan Poetry in Hindi | 4 Rakhi Par Kavitayen

KAVITA - RAKSHA BANDHAN KA TYOHAR



RAKSHA BANDHAN KA TYOHAR
AAYA NAYA ROOP LE IS BAAR

BHAI KI KALAI SAJEGI
PREM PYAAR KI DHAAR BAHEGI

GHAR MEN HOGA SOUHARD KA SWAR
GALI GALI GANV GANV SHAHAR

AKSHAT ROLI SE HOGA TEEKA
PYAAR BILKUL BHI NAA HOGA FEEKA

MUNH MEETHA HOGA KHAKAR MISHTHAN
PREET RISHTON KO MILEGI NAI PAHCHAN


RAKSHA BANDHAN KAVITA 
HE RESHAM KE DHAAGE

HE REHSAM KE DHAAGE TU HAI BADA HI MUJHE PYARA
MERE BHRATA PREM KA TU HAI PYARA NAJARA

TO BAS MUJHE NARAJ MAT KARNA
MERE BHAI KI TU SADA RAKSHA KARNA

RAKSHA KARNA TU USKI HAR KADAM
CHAHE BURA SAMAY HO YAA TUFANI MAUSAM

SADA DENA TU USKA TAJIVAN SAATH 
ISI AAS SE BANDHUGI AAJ USKE HAATH


Kavita - Rakhi Teri Yaad Aai

Rakhi Teri Yaad Aai
Is Bhai Ki Saja de Kalai

Iske badale men luta tu pyaar
Bhai se anupam uphaar

Aur bahana ki jholi bhar de
Manorath saare poorn kar de

khushiyon se man gad gad ho jaaye
Preet Bahar men Vah kho Jaye

Rakhi bas tu itan kaam kar 
karta yah bahi tujhe pranaam

Enjoy & Share - Raksha Bandhan Wishes

KAVITA - RAKSHA BANDHAN KA SAMBANDH


RAKSHA KE LIYE BADA JAROORI HOTA PREM KA SAMBANDH
ATH KIYA HAI RISHTON NE RAKSHA BANDHAN KA PRABANDH


PRABANDH JISMEN RESHMI DHAAGA BANA PREM PRATIK
KAISE NIBHANA HAI ISKO BHAI NE BAHAN SE LIYA SEEKH

SEEKH LIYA PREM DHAAGE KA MOL KAIS HAI CHUKANA
KAISE JIVAN KI ANTIM SAANS TAK BHAI KA FARJ NIBHANA


NIBHANA AUR KHADE RAHANA, SATH BAHNA KE HAR KADAM
SARVASV JIVAN KA ARPAN JO MILA US IS JANAM

IS JANAM MEN PYARI BAHNA KABHI NAA  SAMJHE KHUD KO PARAI
RAKSHA KE IS PAVITRA SOOT NE AISI NAI RAAH DIKHAI

NAAI RAH DIKHAI BAANDH MITHAI TILAK KE SANG
RAKSHA KA DHAAGA HAR VARSH LEGA NAYA PREET KA RANG

Raksha Bandhan is a lovely festival that gives us a lot of happiness and love. It has its own beauty. Every sister ties a safety band on brother's hand which called Raksh Sutra. This festival is the symbol of love and affection. We should celebrate this day as pride of our culture.












बुधवार, 8 जुलाई 2020

Shadi Nimantran Patra Kavita | Marriage Invitation Card Poem in HIndi

YAH KAVITA NIMANTRAN PATRA PAR HASYA VYANG HAI
JO POET LOKESH INDOURA DWARA LIKHI GAI HAI




 kAVITA - NIMANTRAN PATRA

AB YAAD TO TUMHARI BAHUT AAYI

KI BULAYE TUMHE AUR KHANA KHILAYEN

PAR KAMBHAKHT SARKARI FARMAN BOLA

KAM BULAYEN AUR SOCIAL DISTANCING APNAYEN


AB MITRA AAP US TOP LIST MEN

AANE SE RAH GAYE JI THODA DOOR

AUR HAM JANAB THE AASHIQI MEN 

SHADI KARNE KO MAJBOOR


TO BHEJ NAA SAKE AAPKO NIMANTRAN

PAR HAAN HAI AAPKO HAMARA AAMANTRAN

JAB BHI WAQT MILE CHALE AANA

TOHFA NAA SAHI TO LIFAFA THAMA JANA


ISSE AAPKO KUCH SANTOSH MILEGA

SHADI MEN NAHIN BULAYA THODA KAM KHALEGA

NIMANTRAN SE BADA SARKARI FARMAAN LAGEGA

KYON NAA DE SAKE NIMANTRA PATA CHALEGA


This time is very diffcult to give invitation card all our friends and relatives. We have to create a selected list of relatives & friends. So fear remains in our heart that relatives will mind it. But we are helpless. This invitation letter poetry is written about compulsion of  friend in a funny way. So enjoy and don't forget to share it.