शनिवार, 25 जुलाई 2020

Raksha Bandhan Poetry in Hindi | 4 Rakhi Par Kavitayen

KAVITA - RAKSHA BANDHAN KA TYOHAR



RAKSHA BANDHAN KA TYOHAR
AAYA NAYA ROOP LE IS BAAR

BHAI KI KALAI SAJEGI
PREM PYAAR KI DHAAR BAHEGI

GHAR MEN HOGA SOUHARD KA SWAR
GALI GALI GANV GANV SHAHAR

AKSHAT ROLI SE HOGA TEEKA
PYAAR BILKUL BHI NAA HOGA FEEKA

MUNH MEETHA HOGA KHAKAR MISHTHAN
PREET RISHTON KO MILEGI NAI PAHCHAN


RAKSHA BANDHAN KAVITA 
HE RESHAM KE DHAAGE

HE REHSAM KE DHAAGE TU HAI BADA HI MUJHE PYARA
MERE BHRATA PREM KA TU HAI PYARA NAJARA

TO BAS MUJHE NARAJ MAT KARNA
MERE BHAI KI TU SADA RAKSHA KARNA

RAKSHA KARNA TU USKI HAR KADAM
CHAHE BURA SAMAY HO YAA TUFANI MAUSAM

SADA DENA TU USKA TAJIVAN SAATH 
ISI AAS SE BANDHUGI AAJ USKE HAATH


Kavita - Rakhi Teri Yaad Aai

Rakhi Teri Yaad Aai
Is Bhai Ki Saja de Kalai

Iske badale men luta tu pyaar
Bhai se anupam uphaar

Aur bahana ki jholi bhar de
Manorath saare poorn kar de

khushiyon se man gad gad ho jaaye
Preet Bahar men Vah kho Jaye

Rakhi bas tu itan kaam kar 
karta yah bahi tujhe pranaam

Enjoy & Share - Raksha Bandhan Wishes

KAVITA - RAKSHA BANDHAN KA SAMBANDH


RAKSHA KE LIYE BADA JAROORI HOTA PREM KA SAMBANDH
ATH KIYA HAI RISHTON NE RAKSHA BANDHAN KA PRABANDH


PRABANDH JISMEN RESHMI DHAAGA BANA PREM PRATIK
KAISE NIBHANA HAI ISKO BHAI NE BAHAN SE LIYA SEEKH

SEEKH LIYA PREM DHAAGE KA MOL KAIS HAI CHUKANA
KAISE JIVAN KI ANTIM SAANS TAK BHAI KA FARJ NIBHANA


NIBHANA AUR KHADE RAHANA, SATH BAHNA KE HAR KADAM
SARVASV JIVAN KA ARPAN JO MILA US IS JANAM

IS JANAM MEN PYARI BAHNA KABHI NAA  SAMJHE KHUD KO PARAI
RAKSHA KE IS PAVITRA SOOT NE AISI NAI RAAH DIKHAI

NAAI RAH DIKHAI BAANDH MITHAI TILAK KE SANG
RAKSHA KA DHAAGA HAR VARSH LEGA NAYA PREET KA RANG

Raksha Bandhan is a lovely festival that gives us a lot of happiness and love. It has its own beauty. Every sister ties a safety band on brother's hand which called Raksh Sutra. This festival is the symbol of love and affection. We should celebrate this day as pride of our culture.












0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें