शनिवार, 29 अगस्त 2020

Mehangai Par Hindi Poem - महंगाई पर कविता

 Mehangai Par Hindi Poem | Inflation Kavita - Yahan Par Prastut Kavitayen Mehangai Par Aadharit Hai. Jo Aapka Nischit Roop Se Manoranjan Karegi.



Mehangai Par Hindi Poem


MEHANGAI RE MEHANGAI
FAILI HO SARVATRA
FIR KYON NAA DETI DIKHAI
JAB DHUNDHE YATRA TATRA

TV MEN NAHIN BREKING NEWS
AKHBARON KE UDE DEKHO FYUZ
JANTA DEKH DEKH HAIRAAN
AAKHIR KISANE DABAYI INKI NEWS

KOI TO JANTA KO BATAYE
PETROL KYON AAG LAGAYE
ROJ MARRA KA SAMAAN BHI
DOOR SE KYON AANKH DIKHAYE

MADHYAMVARG HO RAHA BEHAAL
GARIB AUR BHI FATEHAAL
BEROJGARI MEN DOGALI CHAAL
AAKHIR AISE RAKHE SARKAR KHYAL


Inflation Kavita - Mehangai Se Trast


    MEHANGAI SE JANTA TRAST
DEKH RAJNEETI HO RAHI MAST

MASTI KE GOL GAPPE MEDIA KHILAYE
FALTU KHABARON SE SIR BHI PAKAYE

TAKI DIMAAG SE AAM MUDDA RAHE DOOR
AVASHY BIKAU JO CHHIPANE KO MAJBOOR

RAJNEETI KE SHOR MEN HO GAYA KHAMOSH
JANTA HAI SAHANE KI AADI FIR KISE DOSH

HOSH WALE DEKH LE RAHE SIRF TWIT KI CHUSKI
DEKH GARIBI LE RAHI IS RAVAIYE SE SISKI

AB RAJNEETI KA ARTHO LUT KHASOT VOTON KI
KYA PARVAH LOKTANTRA MEN AAM JAN KE NOTON KI

AB BAZAR GAYE TO MATLAB PAHUNCHE KHASAI KHANA
KATEGA JEB AATE DAAL SE LE ILAYACHI KA DANA DANA

VASTUON KA MULY POOCHA CHUP HO JAATI BADBOLI JUBAAN
KSAM KHATI DEKH AB NAA AAUNGI TERI DUKAAN

PAR BADHATI KIMATE DUKAN AUR DUKANDAR KE UPAR NAHIN
YAH TO ATAKE AYOGYA NETAON KE NIRNAY PAR KAHIN


KAVITA - MEHANGAI


MEHANGAI NAAM KI DAYAN LUT RAHI SANSAAR
NOCHNE KO JANTA KA MUNH NAKHUN HAI TAIYAAR

NAKHUN BANE ISKE DEKHO SARKARI TANTRA SE
JANTA BHAGANE MEN JUTI DESH BHAKT KE MANTRA SE


DESH BAKTI KE NAARE LAGAKAR BHI SAH RAHE DEKHO DANSH
LE RASHTRA PREM KA SAHARA RAJNEETI KARE PARPANCH

PRAPANCH DEKHO JANTA BHI DE SARKAR KA POORN SATH
KYONKI AAM KOI NAHIN SAB BANE RAJNITIK BISAAT


RAJNEETIK BISAT KA SADHAN MEDIA SANG AKHBAR
KHABARON KE NAM PR KR RAHE PAKSH VIPAKSH KA VYAPAR

KAR RAHE VYAPAR CELEBRITY PAR DETE DHYAN
AAM JAN KA AAM MUDDA HUA RASEELA PAAN

HUA RASEELA PAAN AB KHABAREN JO MAN KO BHAYE
KAUN SARKAR SE ULJHE KON VIPKSH KO JAGAYE

VIPAKSH KO JAGAYE ULTA SOCIAL MEDIA THAPAKI DE SULAYE
JANTA MEN KUCH KHUD CONGRESSI KUCH BHAJAPI KAH ITRAYE

ITRA RAHE SATH MEN PETROL SANG ANYA SAMAN
AAKHIR JANTA KI AUKAAT SE JYADA UNKA DAAM

HAI UNKA DAAM KYONKI SAB BANE HAWAON KE MAJDOOR
JIN YUVAON KO BOLNA THA LGA BAITHE KISI PARTY KA SINDOOR

AB LAGAYA SINDOOR TO CHUDIYAN PAHANNA SWABHAVIK
PARTY KI PRASHANSHA MEN RASHTRAVAD RAHA DEKHO BIK

RASHTRAWAD CHIPKA AB DEKHO NETAON KI PAHCHAN SE
DESH BHAKTI BHI NAA BACHA SAKE AB UNKO IS AGYAN SE


AGYANTA AISI DEKH NAA PA RAHE BEROJGARI MEHANGAI
BAS DEKH TV JISME SIRF RAJNEETIK LADAI


LADAI KI NAUTANKI AISI BGULA NETA DIKHE DESH HITESHI
SAB SHANTI SE YHI DEKHNE MEN BUSY TO JI MEHANGAI KAISE


Inflation is the big problem for a public. Every country want to reduce it but it is not easy task. It depends on internal plans and external affairs both. Opposition always goes to strike for inflation. But govt. keep it without notice. Some time government have economical benefits cause of inflation.




0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें